gham ki daulat ka kya karunga main
ġham kī daulat kā kyā karūñgā maiñ
itnī rahmat kā kyā karūñgā maiñ
tum mirī ādatoñ meñ shāmil ho
is burī lat kā kyā karūñgā maiñ
us kā muñh pher lenā kaafī hai
ab ijāzat kā kyā karūñgā maiñ
koī munsif nahīñ mire haq meñ
is 'adālat kā kyā karūñgā maiñ
us kī yādoñ kī qaid achchhī hai
ab zamānat kā kyā karūñgā maiñ
roz miltī ho jo bichhaḌne ko
is mohabbat kā kyā karūñgā maiñ
haal dil kā bayāñ na kar pā.ūñ
aisī ġhairat kā kyā karūñgā maiñ
ik musībat hai 'ishq bhī 'sāgar'
aur aafat kā kyā karūñgā maiñ
gham ki daulat ka kya karunga main
itni rahmat ka kya karunga main
tum meri aadaton mein shamil ho
is buri lat ka kya karunga main
us ka munh pher lena kafi hai
ab ijazat ka kya karunga main
koi munsif nahin mere haq mein
is 'adalat ka kya karunga main
us ki yaadon ki qaid achchhi hai
ab zamanat ka kya karunga main
roz milti ho jo bichhaDne ko
is mohabbat ka kya karunga main
haal dil ka bayan na kar paun
aisi ghairat ka kya karunga main
ek musibat hai 'ishq bhi 'sagar'
aur aafat ka kya karunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.