gham ki gar chashni nahin hoti
ġham kī gar chāshnī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
ruuTh jaanā to ḳhair āsāñ hai
par manānā hañsī nahīñ hotī
un ke pīchhe to hai unhīñ kā zikr
sāmne baat bhī nahīñ hotī
dil lagā kar samajh meñ aayā hai
ye koī dil-lagī nahīñ hotī
be-ḳhudī se jo ham-kanār nahīñ
vo ḳhudī āgahī nahīñ hotī
aah jo arsh tak pahuñch na sake
dil se niklī huī nahīñ hotī
husn ko ishq hī ne dī hai kashish
chāñd meñ raushnī nahīñ hotī
barq bhī kauñdtī to hai lekin
un kī añgḌā.ī sī nahīñ hotī
phuul rote haiñ saarī raat 'fahīm'
os kī ye tarī nahīñ hotī
gham ki gar chashni nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
ruTh jaana to KHair aasan hai
par manana hansi nahin hoti
un ke pichhe to hai unhin ka zikr
samne baat bhi nahin hoti
dil laga kar samajh mein aaya hai
ye koi dil-lagi nahin hoti
be-KHudi se jo ham-kanar nahin
wo KHudi aagahi nahin hoti
aah jo arsh tak pahunch na sake
dil se nikli hui nahin hoti
husn ko ishq hi ne di hai kashish
chand mein raushni nahin hoti
barq bhi kaundti to hai lekin
un ki angDai si nahin hoti
phul rote hain sari raat 'fahim'
os ki ye tari nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.