gham ki jab sozish sin mahram howega
ġham kī jab sozish siiñ mahram hovegā
chashma-e-ḳhurshīd shabnam hovegā
yaad lāvegā kabhī to mujh kuuñ yaar
sham.a bin parvāna par kam hovegā
āshiq o ma.ashūq meñ sālis hai ishq
sulh kā paiġhām bāham hovegā
kufr o īmāñ do nadī haiñ ishq kiiñ
āḳhirash dono kā sañgam hovegā
sarv-qad ke bin abas hai sair-e-bāġh
bār-e-ġham siiñ sarv bhī ḳham hovegā
gar kare ahvāl-e-shabnam par nazar
rutba-e-ḳhurshīd kyā kam hovegā
ka.aba-e-kū-e-sanam meñ ai 'sirāj'
ashk merā āb-e-zamzam hovegā
gham ki jab sozish sin mahram howega
chashma-e-KHurshid shabnam howega
yaad lawega kabhi to mujh kun yar
shama bin parwana par kam howega
aashiq o mashuq mein salis hai ishq
sulh ka paigham baham howega
kufr o iman do nadi hain ishq kin
aaKHirash dono ka sangam howega
sarw-qad ke bin abas hai sair-e-bagh
bar-e-gham sin sarw bhi KHam howega
gar kare ahwal-e-shabnam par nazar
rutba-e-KHurshid kya kam howega
kaba-e-ku-e-sanam mein ai 'siraj'
ashk mera aab-e-zamzam howega
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 302)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.