gham ki jo lazzaten hain unhen jawedan bana
ġham kī jo lazzateñ haiñ unheñ jāvedāñ banā
dard-e-nihāñ ko chāra-e-dard-e-nihāñ banā
ummīd-o-yās jis meñ na hoñ vo jahāñ banā
ya.anī na.ī zamīñ nayā āsmāñ banā
aur ārzū-e-sair-e-chaman ko bahār meñ
aur ai asīr-e-kunj-e-qafas āshiyāñ banā
mashq-e-vafā meñ kyā kahūñ ye ġham-nasīb dil
kin mushkiloñ se ḳhūgar-e-zabt-e-fuġhāñ banā
vahm-o-ḳhayāl par bhī tasallut hai barq kā
vahm-o-ḳhayāl meñ bhī na ab āshiyāñ banā
taḳhrīb hī meñ jalva-e-ta.amīr thā nihāñ
jis shāḳh par miTā thā vahīñ āshiyāñ banā
kah de zabān-e-hāl se rūdād-e-ġham 'shifā'
apnī ḳhamoshiyoñ hī ko apnī zabāñ banā
gham ki jo lazzaten hain unhen jawedan bana
dard-e-nihan ko chaara-e-dard-e-nihan bana
ummid-o-yas jis mein na hon wo jahan bana
yani nai zamin naya aasman bana
aur aarzu-e-sair-e-chaman ko bahaar mein
aur ai asir-e-kunj-e-qafas aashiyan bana
mashq-e-wafa mein kya kahun ye gham-nasib dil
kin mushkilon se KHugar-e-zabt-e-fughan bana
wahm-o-KHayal par bhi tasallut hai barq ka
wahm-o-KHayal mein bhi na ab aashiyan bana
taKHrib hi mein jalwa-e-tamir tha nihan
jis shaKH par miTa tha wahin aashiyan bana
kah de zaban-e-haal se rudad-e-gham 'shifa'
apni KHamoshiyon hi ko apni zaban bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.