gham ki kali raat ko yun hal kiya
ġham kī kaalī raat ko yuuñ hal kiyā
ham ne āḳhir dard ko kājal kiyā
surma.ī resham pe thā tāroñ kā jaal
kitnā pyārā raat kā āñchal kiyā
mere andar phailtā jaatā thā jo
tai baḌī mushkil se vo jangal kiyā
ham ne yuuñ hañs kar guzārī zindagī
apnī har zanjīr ko paa.el kiyā
rābta ḳhushbū se rakkhā ustuvār
ruuh meñ jaltā huā sandal kiyā
gham ki kali raat ko yun hal kiya
hum ne aaKHir dard ko kajal kiya
surmai resham pe tha taron ka jal
kitna pyara raat ka aanchal kiya
mere andar phailta jata tha jo
tai baDi mushkil se wo jangal kiya
hum ne yun hans kar guzari zindagi
apni har zanjir ko pael kiya
rabta KHushbu se rakkha ustuwar
ruh mein jalta hua sandal kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.