gham ki taswir banane ke liye hote hain
ġham kī tasvīr banāne ke liye hote haiñ
dard āñkhoñ meñ chhupāne ke liye hote haiñ
zindagī jaane kī dhamkī na diyā kar ham ko
ham tire naaz uThāne ke liye hote haiñ
jaane kyoñ log zamāne se yahī kahte haiñ
dil mohabbat meñ lagāne ke liye hote haiñ
mere kamre meñ paḌe phuul kitābeñ aañsū
bas tirī yaad dilāne ke liye hote haiñ
'umr bhar un se na parhez kabhī karnā tum
aa.ine vaqt batāne ke liye hote haiñ ye
ye jo kuchh log haiñ rāhoñ meñ bhaTakte hue log
'ishq meñ naam kamāne ke liye hote haiñ
kaise kah dete haiñ 'shahzān' zamāne vaale
dost ehsān jatāne ke liye hote haiñ
gham ki taswir banane ke liye hote hain
dard aankhon mein chhupane ke liye hote hain
zindagi jaane ki dhamki na diya kar hum ko
hum tere naz uThane ke liye hote hain
jaane kyon log zamane se yahi kahte hain
dil mohabbat mein lagane ke liye hote hain
mere kamre mein paDe phul kitaben aansu
bas teri yaad dilane ke liye hote hain
'umr bhar un se na parhez kabhi karna tum
aaine waqt batane ke liye hote hain ye
ye jo kuchh log hain rahon mein bhaTakte hue log
'ishq mein nam kamane ke liye hote hain
kaise kah dete hain 'shahzan' zamane wale
dost ehsan jatane ke liye hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.