gham ko dil se laga ke dekha hai
ġham ko dil se lagā ke dekhā hai
phir tumheñ gungunā ke dekhā hai
maut ko hī qarīb paayā hai
jab bhī tum ko bhulā ke dekhā hai
mere apne hī ban ga.e dushman
vaqt ko aazmā ke dekhā hai
ham ko be-maut hī na aa.e maut
rasm-e-ulfat nibhā ke dekhā hai
gham ko dil se laga ke dekha hai
phir tumhein gunguna ke dekha hai
maut ko hi qarib paya hai
jab bhi tum ko bhula ke dekha hai
mere apne hi ban gae dushman
waqt ko aazma ke dekha hai
hum ko be-maut hi na aae maut
rasm-e-ulfat nibha ke dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.