gham ko KHud par sawar mat karna
ġham ko ḳhud par savār mat karnā
zaḳhm ko ishtihār mat karnā
ek had meñ raho to achchhā hai
had kī dīvār paar mat karnā
apnī parvāz bhuul jāoge
ġhair par inhisār mat karnā
sar uThānā muhāl ho jaa.e
ḳhud ko yuuñ zer-e-bār mat karnā
vaqt kab intizār kartā hai
vaqt kā intizār mat karnā
baat karnā to sāmne karnā
piiTh pīchhe se vaar mat karnā
hausle se sahārnā ġham ko
dard ko be-vaqār mat karnā
chāhatoñ ke hisāb meñ 'anvar'
ek pal bhī udhār mat karnā
gham ko KHud par sawar mat karna
zaKHm ko ishtihaar mat karna
ek had mein raho to achchha hai
had ki diwar par mat karna
apni parwaz bhul jaoge
ghair par inhisar mat karna
sar uThana muhaal ho jae
KHud ko yun zer-e-bar mat karna
waqt kab intizar karta hai
waqt ka intizar mat karna
baat karna to samne karna
piTh pichhe se war mat karna
hausle se sahaarna gham ko
dard ko be-waqar mat karna
chahaton ke hisab mein 'anwar'
ek pal bhi udhaar mat karna
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.