gham mein jo dusron ke rote hain
ġham meñ jo dūsroñ ke rote haiñ
aise insān kam hī hote haiñ
shā'irī dil ko aur chhūtī hai
ashkoñ meñ jab kalām dhote haiñ
haa.e dekhe koī ki nādir shai
kaise paate haiñ kaise khote haiñ
saath jiite haiñ hasratoñ ke ham
yuuñ hī hañste haiñ yuuñ hī rote haiñ
koī to chārāgar ko samjhā.e
dard kuchh lā-'ilāj hote haiñ
nutq hotī hai Dor rishtoñ kī
is meñ kyoñ ḳhāmushī pirote haiñ
kyoñ nahīñ vo zamīr kī sunte
biij jo nafratoñ ke bote haiñ
duur 'hāsil' se jā ke bhī kyoñ aap
us ke ḳhat ashkoñ meñ bhigote haiñ
gham mein jo dusron ke rote hain
aise insan kam hi hote hain
sha'iri dil ko aur chhuti hai
ashkon mein jab kalam dhote hain
hae dekhe koi ki nadir shai
kaise pate hain kaise khote hain
sath jite hain hasraton ke hum
yun hi hanste hain yun hi rote hain
koi to chaaragar ko samjhae
dard kuchh la-'ilaj hote hain
nutq hoti hai Dor rishton ki
is mein kyon KHamushi pirote hain
kyon nahin wo zamir ki sunte
bij jo nafraton ke bote hain
dur 'hasil' se ja ke bhi kyon aap
us ke KHat ashkon mein bhigote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.