gham mein jo masarrat ke pahlu nikal aate hain
ġham meñ jo masarrat ke pahlū nikal aate haiñ
ham laakh chhupāte haiñ aañsū nikal aate haiñ
mī.ād baḌhāte haiñ vo qaid-e-mohabbat kī
ham bach ke asīrān-e-gesū nikal aate haiñ
kyā rahrav-e-hastī ne phir rāh-e-talab kho dī
kyoñ shab ke añdhere meñ jugnū nikal aate haiñ
jab bhī tirī zulfoñ kā charchā kahīñ hotā hai
taḳh.īl ke goshe se bā-mū nikal aate haiñ
kyoñ barbat-e-dil chheḌeñ zaḳhmoñ ke gulistāñ meñ
kyā jāniye kyā guzre jaadū nikal aate haiñ
'sābir' ġham-e-hastī meñ māyūs na ho jaa.eñ
har haal meñ jiine ke pahlū nikal aate haiñ
gham mein jo masarrat ke pahlu nikal aate hain
hum lakh chhupate hain aansu nikal aate hain
miad baDhate hain wo qaid-e-mohabbat ki
hum bach ke asiran-e-gesu nikal aate hain
kya rahraw-e-hasti ne phir rah-e-talab kho di
kyon shab ke andhere mein jugnu nikal aate hain
jab bhi teri zulfon ka charcha kahin hota hai
taKHil ke goshe se ba-mu nikal aate hain
kyon barbat-e-dil chheDen zaKHmon ke gulistan mein
kya jaaniye kya guzre jadu nikal aate hain
'sabir' gham-e-hasti mein mayus na ho jaen
har haal mein jine ke pahlu nikal aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.