gham mein jo shad-kaam hote hain
ġham meñ jo shād-kām hote haiñ
qābil-e-ehtirām hote haiñ
rahm lutf-o-karam taras ehsāñ
zulm ke kitne naam hote haiñ
shikva-e-ġham jahāñ hai sū-e-adab
aise bhī kuchh maqām hote haiñ
tāj-dārī vo kyā kareñge jo
ḳhvāhishoñ ke ġhulām hote haiñ
ehtiyātoñ ke shahr meñ 'anvar'
hādse sub.h-o-shām hote haiñ
gham mein jo shad-kaam hote hain
qabil-e-ehtiram hote hain
rahm lutf-o-karam taras ehsan
zulm ke kitne nam hote hain
shikwa-e-gham jahan hai su-e-adab
aise bhi kuchh maqam hote hain
taj-dari wo kya karenge jo
KHwahishon ke ghulam hote hain
ehtiyaton ke shahr mein 'anwar'
hadse subh-o-sham hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.