gham mein KHushi KHushi mein kabhi gham badal gae
ġham meñ ḳhushī ḳhushī meñ kabhī ġham badal ga.e
bāham ḳhavās-e-sho.ala-o-shabnam badal ga.e
ai umr-e-rā.egāñ na khilā ġhuncha-e-murād
palTī ka.ī ruteñ ka.ī mausam badal ga.e
derīna tab.a log haiñ ham to ravāyatan
badle bahut ziyāda agar kam badal ga.e
terī nigāh hī na mirī jaañ badal ga.ī
mahsūs ho rahā hai do-ālam badal ga.e
dushman the vaz.a-dār the vo mo'atabar rafīq
jo saath saath vaqt ke paiham badal ga.e
ik sāneha sahī ye diloñ kī latīf zid
kuchh dost ġhair ho ga.e kuchh ham badal ga.e
'shaukat' nahīñ paḌā koī nazm-e-chaman meñ farq
gulchīñ o bāġhbān to bāham badal ga.e
gham mein KHushi KHushi mein kabhi gham badal gae
baham KHawas-e-shoala-o-shabnam badal gae
ai umr-e-raegan na khila ghuncha-e-murad
palTi kai ruten kai mausam badal gae
derina taba log hain hum to rawayatan
badle bahut ziyaada agar kam badal gae
teri nigah hi na meri jaan badal gai
mahsus ho raha hai do-alam badal gae
dushman the waza-dar the wo mo'atabar rafiq
jo sath sath waqt ke paiham badal gae
ek saneha sahi ye dilon ki latif zid
kuchh dost ghair ho gae kuchh hum badal gae
'shaukat' nahin paDa koi nazm-e-chaman mein farq
gulchin o baghban to baham badal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.