gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho
ġham mirā dushman-e-jānī hai kaho yā na kaho
mere aañsū kī zabānī hai kaho yā na kaho
raat parvāne ke mātam meñ gudāz-e-dil se
sham.a kī ashk-fishānī hai kaho yā na kaho
ġhuncha-e-gul ke ta.iiñ dekhte hī ham ne kahā
dil-e-pur-ḳhūñ kī nishānī hai kaho yā na kaho
māthā ghisne se mire mahr-jabīñ ke dar par
sub.h kī ujlī peshānī hai kaho yā na kaho
mayyat-e-ishq kā gar dekho ruḳh-e-nūrānī
maġhfirat kī ye nishānī hai kaho yā na kaho
gham mera dushman-e-jaani hai kaho ya na kaho
mere aansu ki zabani hai kaho ya na kaho
raat parwane ke matam mein gudaz-e-dil se
shama ki ashk-fishani hai kaho ya na kaho
ghuncha-e-gul ke tain dekhte hi hum ne kaha
dil-e-pur-KHun ki nishani hai kaho ya na kaho
matha ghisne se mere mahr-jabin ke dar par
subh ki ujli peshani hai kaho ya na kaho
mayyat-e-ishq ka gar dekho ruKH-e-nurani
maghfirat ki ye nishani hai kaho ya na kaho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.