gham na kar ai wahshat-e-dil tilmilana chhoD de
gham na kar ai wahshat-e-dil tilmilana chhoD de
Mohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
MORE BYMohammad Taibur Rahman Inamdar Talib
ġham na kar ai vahshat-e-dil tilmilānā chhoḌ de
muskurā ke ashk pī aañsū bahānā chhoḌ de
āñdhiy.oñ se ġham kī bujhne paa.e na dil kā charāġh
ḳhārzāroñ meñ alam kī ānā-jānā chhoḌ de
hai kaf-e-afsos malnā ain tauhīn-e-vafā
zindagī kahtī hai lekin ye bahānā chhoḌ de
ham vo kāñTe haiñ agar uljhe to thāmeñge vaqār
gulsitāñ meñ ḳhauf se dāman bachānā chhoḌ de
quvvat-e-bāzū se 'tālib' toḌ de zindāñ ke baab
nang-e-hastī hai qafas kā āb-o-dāna chhoḌ de
gham na kar ai wahshat-e-dil tilmilana chhoD de
muskura ke ashk pi aansu bahana chhoD de
aandhiyon se gham ki bujhne pae na dil ka charagh
KHarzaron mein alam ki aana-jaana chhoD de
hai kaf-e-afsos malna ain tauhin-e-wafa
zindagi kahti hai lekin ye bahana chhoD de
hum wo kanTe hain agar uljhe to thamenge waqar
gulsitan mein KHauf se daman bachana chhoD de
quwwat-e-bazu se 'talib' toD de zindan ke bab
nang-e-hasti hai qafas ka aab-o-dana chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.