gham nahin hai jo saeban nahin
ġham nahīñ hai jo sā.ebān nahīñ
kyā mire sar pe āsmān nahīñ
dil meñ kyā kyā thiiñ bastiyāñ ābād
aaj jin kā koī nishān nahīñ
be-mazā ziist maut se bad-tar
tajraba hai mirā gumān nahīñ
yaañ tijārat nahīñ huā kartī
ishq maz.hab hai ik dukān nahīñ
ye sitam dekh kar bhī chup haiñ aap
aap ke muñh meñ kyā zabān nahīñ
har-nafas koī mas.ala darpesh
ziist kyā hai jo imtihān nahīñ
gham nahin hai jo saeban nahin
kya mere sar pe aasman nahin
dil mein kya kya thin bastiyan aabaad
aaj jin ka koi nishan nahin
be-maza zist maut se bad-tar
tajraba hai mera guman nahin
yan tijarat nahin hua karti
ishq mazhab hai ek dukan nahin
ye sitam dekh kar bhi chup hain aap
aap ke munh mein kya zaban nahin
har-nafas koi masala darpesh
zist kya hai jo imtihan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.