gham ne chhoDa to KHushi se mar gae
ġham ne chhoḌā to ḳhushī se mar ga.e
maut jaisī zindagī se mar ga.e
ham asīr-e-zabt ro paa.e nahīñ
aur phir bas bebasī se mar ga.e
tum se pahle bhī to kī thī 'āshiqī
par tumhārī 'āshiqī se mar ga.e
paas baiThī ek pal ko zindagī
aur ham bas is ḳhushī se mar ga.e
ham sharābī ban na paa.e Thiik se
piite piite mai-kashī se mar ga.e
gham ne chhoDa to KHushi se mar gae
maut jaisi zindagi se mar gae
hum asir-e-zabt ro pae nahin
aur phir bas bebasi se mar gae
tum se pahle bhi to ki thi 'ashiqi
par tumhaari 'ashiqi se mar gae
pas baiThi ek pal ko zindagi
aur hum bas is KHushi se mar gae
hum sharabi ban na pae Thik se
pite pite mai-kashi se mar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.