gham ne dilon ko ram kiya aur guzar gaya
ġham ne diloñ ko raam kiyā aur guzar gayā
zālim ne apnā kaam kiyā aur guzar gayā
sayyād kuchh to ḳhātir-e-ahl-e-vafā kare
ye kyā asīr-e-dām kiyā aur guzar gayā
ai sāqī-e-bahār tire zauq ke nisār
har gul ko ek jaam kiyā aur guzar gayā
aayā thā but-kada bhī mirī rāh-e-shauq meñ
maiñ ne to ik salām kiyā aur guzar gayā
ye kā.enāt hai ki kisī ne ba-sad hijāb
ik ḳhaas jalva 'aam kiyā aur guzar gayā
aayā qarīb 'kaif' koī mast-e-nāz-e-husn
Daalī nazar ġhulām kiyā aur guzar gayā
gham ne dilon ko ram kiya aur guzar gaya
zalim ne apna kaam kiya aur guzar gaya
sayyaad kuchh to KHatir-e-ahl-e-wafa kare
ye kya asir-e-dam kiya aur guzar gaya
ai saqi-e-bahaar tere zauq ke nisar
har gul ko ek jam kiya aur guzar gaya
aaya tha but-kada bhi meri rah-e-shauq mein
main ne to ek salam kiya aur guzar gaya
ye kaenat hai ki kisi ne ba-sad hijab
ek KHas jalwa 'am kiya aur guzar gaya
aaya qarib 'kaif' koi mast-e-naz-e-husn
Dali nazar ghulam kiya aur guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.