gham ne ye saut ke meri haalat tabah ki
ġham ne ye saut ke mirī hālat tabāh kī
baiThī to dil ko thaam ke uTThī to aah kī
hat-chhaT ho tum agar to huuñ maiñ bhī zabāñ-darāz
phir kaun sī hai shakl batāo nibāh kī
darvāza is taraf ko kareñge zarūr vo
ye to batāo tum ne bhī kuchh is kī raah kī
jaatī thī haj ko raah meñ baddū jo aa paḌe
daulat samajh ke le ga.e gaThrī gunāh kī
yuuñ chāñd ḳhaañ paḌe rahe bīmār saal bhar
chhuTTī na lī miyāñ ne magar ek maah kī
aise sharāb-ḳhvār ḳhasam par ḳhudā kī maar
maike se maiñ jo laa.ī thī daulat tabāh kī
lailā akal-khurī ne na lī us kī kuchh ḳhabar
majnūñ ko aarzū hī rahī apne byaah kī
laḌkī kahīñ falak pe na juḌtī thī saanD ko
ab chañd-o-gīt gaa.e na laḌ ke biyāh kī
ye jaan kā azaab farishte gale paḌe
marne pe bhī na paa.ī buā jā panāh kī
aatī hai uThte baiThte 'shaidā' laboñ pe jaan
jā kar javānī khol ga.ī raah aah kī
gham ne ye saut ke meri haalat tabah ki
baiThi to dil ko tham ke uTThi to aah ki
hat-chhaT ho tum agar to hun main bhi zaban-daraaz
phir kaun si hai shakl batao nibah ki
darwaza is taraf ko karenge zarur wo
ye to batao tum ne bhi kuchh is ki rah ki
jati thi haj ko rah mein baddu jo aa paDe
daulat samajh ke le gae gaThri gunah ki
yun chand KHan paDe rahe bimar sal bhar
chhuTTi na li miyan ne magar ek mah ki
aise sharab-KHwar KHasam par KHuda ki mar
maike se main jo lai thi daulat tabah ki
laila akal-khuri ne na li us ki kuchh KHabar
majnun ko aarzu hi rahi apne byah ki
laDki kahin falak pe na juDti thi sanD ko
ab chand-o-git gae na laD ke biyah ki
ye jaan ka azab farishte gale paDe
marne pe bhi na pai bua ja panah ki
aati hai uThte baiThte 'shaida' labon pe jaan
ja kar jawani khol gai rah aah ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.