gham-o-andoh ka sine mein samundar le kar
ġham-o-andoh kā siine meñ samundar le kar
jiye jaatā huuñ magar haath meñ sāġhar le kar
ḳhud-farebī ke añdhere meñ utar jaatā huuñ
ḳhud ko jab DhūñDtā huuñ haath meñ patthar le kar
sāmne aa.egā vo jab bhī pukārūñ us ko
apne chehre pe magar nuur kī chādar le kar
ek alhaḌ sī koī yaad bhale vaqtoñ kī
dil ke panghaT pe chalī aatī hai gāgar le kar
vaqt bhī ham se ulajh paḌtā hai ham bhī us ko
roz lalkārte haiñ haath meñ sāġhar le kar
ham fasādoñ meñ bhī hamsā.e se mil aate haiñ
kabhī patthar kabhī bhālā kabhī ḳhanjar le kar
dāvar-e-hashr se ham milne chaleñge 'rāhat'
tā.ir-e-fikr kā TuuTā huā ik par le kar
gham-o-andoh ka sine mein samundar le kar
jiye jata hun magar hath mein saghar le kar
KHud-farebi ke andhere mein utar jata hun
KHud ko jab DhunDta hun hath mein patthar le kar
samne aaega wo jab bhi pukarun us ko
apne chehre pe magar nur ki chadar le kar
ek alhaD si koi yaad bhale waqton ki
dil ke panghaT pe chali aati hai gagar le kar
waqt bhi hum se ulajh paDta hai hum bhi us ko
roz lalkarte hain hath mein saghar le kar
hum fasadon mein bhi hamsae se mil aate hain
kabhi patthar kabhi bhaala kabhi KHanjar le kar
dawar-e-hashr se hum milne chalenge 'rahat'
tair-e-fikr ka TuTa hua ek par le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.