gham-o-nishat ajab tha ki sab faza chup thi
ġham-o-nishāt ajab thā ki sab fazā chup thī
mohabbatoñ kā shajar ḳhushk thā sabā chup thī
azaab jhel rahā thā ka.ī balāoñ ke
laboñ pe maañ ke guzishta dinoñ duā chup thī
bujhā diyā thā charāġhoñ ko ghar ke būḌhoñ ne
ajiib shahr meñ vahshat thī har sadā chup thī
shikam kī aag ne jhulsā diyā thā jism-o-jamāl
har ek shaḳhs pe thī be-hisī anā chup thī
ka.ī charāġh ka.ī tāqchoñ meñ raushan the
kamāl ye thā vahāñ sar-phirī havā chup thī
'azīm' fikr thī maañ ko javān beTī kī
hue the haath to piile magar hinā chup thī
gham-o-nishat ajab tha ki sab faza chup thi
mohabbaton ka shajar KHushk tha saba chup thi
azab jhel raha tha kai balaon ke
labon pe man ke guzishta dinon dua chup thi
bujha diya tha charaghon ko ghar ke buDhon ne
ajib shahr mein wahshat thi har sada chup thi
shikam ki aag ne jhulsa diya tha jism-o-jamal
har ek shaKHs pe thi be-hisi ana chup thi
kai charagh kai taqchon mein raushan the
kamal ye tha wahan sar-phiri hawa chup thi
'azim' fikr thi man ko jawan beTi ki
hue the hath to pile magar hina chup thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.