gham-o-ranj-o-alam ke darmiyan rahna hi paDta hai
gham-o-ranj-o-alam ke darmiyan rahna hi paDta hai
Ram Parshad Sharda
MORE BYRam Parshad Sharda
ġham-o-ranj-o-alam ke darmiyāñ rahnā hī paḌtā hai
jahāñ rakkhe ḳhudā ai dil vahāñ rahnā hī paḌtā hai
bahār-e-jāñ-fazā ho yā ḳhizāñ rahnā hī paḌtā hai
ba-har-sūrat ba-zer-e-āsmāñ rahnā hī paḌtā hai
pareshāñ-hāliyoñ meñ shādmāñ to rah nahīñ sakte
pareshāñ-hāliyoñ meñ shādmāñ rahnā hī paḌtā hai
tulū-e-zindagānī se ġhurūb-e-zindagānī tak
ravāñ rahnā hī paḌtā hai davāñ rahnā hī paḌtā hai
huī haiñ ġharq lākhoñ kashtiyāñ jis kī qayādat meñ
hameñ us nā-ḳhudā se bad-gumāñ rahnā hī paḌtā hai
kahāñ aa.e kahāñ se aur jā.eñge kahāñ yārab
kahāñ rahnā nahīñ paḌtā kahāñ rahnā hī paḌtā hai
yaqīñ jin ko nahīñ 'bismil' ḳhud apne dast-o-bāzū par
unheñ minnat-e-guzār-dīgarāñ rahnā hī paḌtā hai
gham-o-ranj-o-alam ke darmiyan rahna hi paDta hai
jahan rakkhe KHuda ai dil wahan rahna hi paDta hai
bahaar-e-jaan-faza ho ya KHizan rahna hi paDta hai
ba-har-surat ba-zer-e-asman rahna hi paDta hai
pareshan-haaliyon mein shadman to rah nahin sakte
pareshan-haaliyon mein shadman rahna hi paDta hai
tulu-e-zindagani se ghurub-e-zindagani tak
rawan rahna hi paDta hai dawan rahna hi paDta hai
hui hain gharq lakhon kashtiyan jis ki qayaadat mein
hamein us na-KHuda se bad-guman rahna hi paDta hai
kahan aae kahan se aur jaenge kahan yarab
kahan rahna nahin paDta kahan rahna hi paDta hai
yaqin jin ko nahin 'bismil' KHud apne dast-o-bazu par
unhen minnat-e-guzar-digaran rahna hi paDta hai
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 90)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.