gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna
gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
ġham ro ro ke kahtā huuñ kuchh us se agar apnā
to hañs ke vo bole hai ''miyāñ fikr kar apnā''
rone se tire kyā kaheñ ai dīda-e-ḳhūñ-bār
ye ḳhaak meñ miltā hai dil apnā jigar apnā
gar baiThte haiñ mahfil-e-ḳhūbāñ meñ ham us bin
sar zaanū se uThtā nahīñ do do pahar apnā
laanā hai to hamdam use lā jald ki ham ko
ahvāl nazar aa.e hai nau-e-digar apnā
bātoñ se kaTe kis kī bhalā raah hamārī
ġhurbat ke sivā koī nahīñ ham-safar apnā
aalam meñ hai ghar ghar ḳhushī-o-aish par us bin
mātam-kada ham ko nazar aatā hai ghar apnā
yā āñkhoñ se ik aan na hotā thā vo ojhal
yā jalva dikhātā nahiñ ab ik nazar apnā
har baat kā behtar hai chhupānā hī ki ye bhī
hai aib kare koī jo zāhir hunar apnā
gar rū-ba-rū us ke kisī ġham-ḳhvār ko chupke
kuchh haal sunātā huuñ maiñ bā-chashm-e-tar apnā
to kyā kahūñ kahtā hai ajab shakl se mujh ko
kuchh hoñToñ hī hoñToñ meñ vo muñh pher kar apnā
kyā kyā use dekh aatī hai 'jur.at' hameñ hasrat
māyūs jo phir aatā hai paiġhām-bar apnā
gham ro ro ke kahta hun kuchh us se agar apna
to hans ke wo bole hai miyan fikr kar apna
rone se tere kya kahen ai dida-e-KHun-bar
ye KHak mein milta hai dil apna jigar apna
gar baiThte hain mahfil-e-KHuban mein hum us bin
sar zanu se uThta nahin do do pahar apna
lana hai to hamdam use la jald ki hum ko
ahwal nazar aae hai nau-e-digar apna
baaton se kaTe kis ki bhala rah hamari
ghurbat ke siwa koi nahin ham-safar apna
aalam mein hai ghar ghar KHushi-o-aish par us bin
matam-kada hum ko nazar aata hai ghar apna
ya aankhon se ek aan na hota tha wo ojhal
ya jalwa dikhata nahin ab ek nazar apna
har baat ka behtar hai chhupana hi ki ye bhi
hai aib kare koi jo zahir hunar apna
gar ru-ba-ru us ke kisi gham-KHwar ko chupke
kuchh haal sunata hun main ba-chashm-e-tar apna
to kya kahun kahta hai ajab shakl se mujh ko
kuchh honTon hi honTon mein wo munh pher kar apna
kya kya use dekh aati hai 'jurat' hamein hasrat
mayus jo phir aata hai paigham-bar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.