gham se farigh tere hargiz dil-e-nashad na ho
gham se farigh tere hargiz dil-e-nashad na ho
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
ġham se fāriġh tire hargiz dil-e-nāshād na ho
jo giraftār-e-mohabbat hai vo āzād na ho
aag us ghar meñ lage tujh se jo ābād na ho
ḳhaak ho jaa.e vo dil jis meñ tirī yaad na ho
bhuul jaane se tire mujh ko ye hotā hai yaqīñ
kyā 'ajab maut ko bhī shakl mirī yaad na ho
le uḌī hai to use us kī galī meñ pahuñchā
ai sabā ḳhaak hamārī kahīñ barbād na ho
dam meñ sau rang badaltā huuñ tap-e-furqat meñ
kaise 'ājiz mirī tasvīr meñ bahzād na ho
ḳhvāb meñ bhī rahe us zulf-e-musalsal kā ḳhayāl
yā ḳhudā qaid-e-mohabbat se dil āzād na ho
'aql se kaam na rakkhe kabhī 'āshiq terā
banda-e-pīr-e-muġhāñ qā.il-e-zuhhād na ho
beḌiyāñ kitnī hī tinkoñ kī tarah toḌī haiñ
dast-e-vahshat kahīñ shākī tirā haddād na ho
be-tarah baaġh meñ gulchīñ ne havā bāñdhī hai
nik.hat-e-gul kahīñ gulzār meñ barbād na ho
shab kā hangām hai rāhat se vo ārām kareñ
gosh-zau un ke ilāhī mirī fariyād na ho
'tāliba' marne pe raazī huuñ magar ḳhauf ye hai
qatl ke baa'd bhī koī sitam ījād na ho
gham se farigh tere hargiz dil-e-nashad na ho
jo giraftar-e-mohabbat hai wo aazad na ho
aag us ghar mein lage tujh se jo aabaad na ho
KHak ho jae wo dil jis mein teri yaad na ho
bhul jaane se tere mujh ko ye hota hai yaqin
kya 'ajab maut ko bhi shakl meri yaad na ho
le uDi hai to use us ki gali mein pahuncha
ai saba KHak hamari kahin barbaad na ho
dam mein sau rang badalta hun tap-e-furqat mein
kaise 'ajiz meri taswir mein bahzad na ho
KHwab mein bhi rahe us zulf-e-musalsal ka KHayal
ya KHuda qaid-e-mohabbat se dil aazad na ho
'aql se kaam na rakkhe kabhi 'ashiq tera
banda-e-pir-e-mughan qail-e-zuhhad na ho
beDiyan kitni hi tinkon ki tarah toDi hain
dast-e-wahshat kahin shaki tera haddad na ho
be-tarah bagh mein gulchin ne hawa bandhi hai
nikhat-e-gul kahin gulzar mein barbaad na ho
shab ka hangam hai rahat se wo aaram karen
gosh-zau un ke ilahi meri fariyaad na ho
'taliba' marne pe raazi hun magar KHauf ye hai
qatl ke ba'd bhi koi sitam ijad na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.