gham se fursat nahin ki tujhse kahen
ġham se fursat nahīñ ki tujh se kaheñ
tujh ko raġhbat nahīñ ki tujh se kaheñ
hijr-patthar gaḌā hai siine meñ
par vo shiddat nahīñ ki tujh se kaheñ
aarzū kasmasā.e phirtī hai
koī sūrat nahīñ ki tujh se kaheñ
ḳhāmushī kī zabāñ samajh lenā
apnī aadat nahīñ ki tujh se kaheñ
dard had se sivā to hai lekin
aisī hālat nahīñ ki tujh se kaheñ
dil ko ab bhī tirā junūñ hai 'asad'
aisī vahshat nahīñ ki tujh se kaheñ
gham se fursat nahin ki tujh se kahen
tujh ko raghbat nahin ki tujh se kahen
hijr-patthar gaDa hai sine mein
par wo shiddat nahin ki tujh se kahen
aarzu kasmasae phirti hai
koi surat nahin ki tujh se kahen
KHamushi ki zaban samajh lena
apni aadat nahin ki tujh se kahen
dard had se siwa to hai lekin
aisi haalat nahin ki tujh se kahen
dil ko ab bhi tera junun hai 'asad'
aisi wahshat nahin ki tujh se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.