gham se gar aashna nahin hota
ġham se gar āshnā nahīñ hotā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
ik nayā rāsta nikaltā hai
jab koī rāsta nahīñ hotā
aadmī se ḳhatā bhī hotī hai
aadmī devtā nahīñ hotā
mai-kade meñ sab ek hote haiñ
koī chhoTā baḌā nahīñ hotā
ishq meñ jang meñ siyāsat meñ
kuchh bhī ho nāravā nahīñ hotā
ziist meñ vo ghaḌī bhī aatī hai
jab koī āshnā nahīñ hotā
jab vo mere qarīb hote haiñ
mujh ko apnā pata nahīñ hotā
hai ajab daur bevafā.ī kā
koī va.ada vafā nahīñ hotā
ham na dekheñ ye aur baat 'zafar'
vo kahāñ rūnumā nahīñ hotā
gham se gar aashna nahin hota
aadmi kaam ka nahin hota
ek naya rasta nikalta hai
jab koi rasta nahin hota
aadmi se KHata bhi hoti hai
aadmi dewta nahin hota
mai-kade mein sab ek hote hain
koi chhoTa baDa nahin hota
ishq mein jang mein siyasat mein
kuchh bhi ho narawa nahin hota
zist mein wo ghaDi bhi aati hai
jab koi aashna nahin hota
jab wo mere qarib hote hain
mujh ko apna pata nahin hota
hai ajab daur bewafai ka
koi wada wafa nahin hota
hum na dekhen ye aur baat 'zafar'
wo kahan runuma nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.