gham se jab bhi aashnai ho gai
ġham se jab bhī āshnā.ī ho ga.ī
ye jo duniyā thī parā.ī ho ga.ī
ab diloñ ke darmiyāñ dīvār hai
ye ḳhatā to mere bhaa.ī ho ga.ī
vaqt ke hākim kā TūTegā sitam
aaj mujh se lab-kushā.ī ho ga.ī
sun ke bhī vo sun na paayā mudda.ā
muft merī jag-hañsā.ī ho ga.ī
aañkh se pūchhā pata terā kabhī
dil kī jānib rahnumā.ī ho ga.ī
maiñ ḳhudā ke ghar meñ jā ke chhup gayā
maut kī phir bhī rasā.ī ho ga.ī
aa.ine ke sāmne aayā jo maiñ
har gunah kī rū-numā.ī ho ga.ī
maiñ hī bas tanhā khaḌā thā ik taraf
dūsrī jānib ḳhudā.ī ho ga.ī
gham se jab bhi aashnai ho gai
ye jo duniya thi parai ho gai
ab dilon ke darmiyan diwar hai
ye KHata to mere bhai ho gai
waqt ke hakim ka TuTega sitam
aaj mujh se lab-kushai ho gai
sun ke bhi wo sun na paya muddaa
muft meri jag-hansai ho gai
aankh se puchha pata tera kabhi
dil ki jaanib rahnumai ho gai
main KHuda ke ghar mein ja ke chhup gaya
maut ki phir bhi rasai ho gai
aaine ke samne aaya jo main
har gunah ki ru-numai ho gai
main hi bas tanha khaDa tha ek taraf
dusri jaanib KHudai ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.