gham se jo aashna nahin hota
ġham se jo āshnā nahīñ hotā
aadmī kaam kā nahīñ hotā
aap ham-gām jab nahīñ hotā
rāstā rāstā nahīñ hotā
har kamāñ tīr-zan nahīñ hotī
har nishāna ḳhatā nahīñ hotā
yuuñ to har shai bichhaḌ ke rahtī hai
ik tirā ġham judā nahīñ hotā
baat kā izn mil to jaatā hai
baat kā hausla nahīñ hotā
husn vāloñ kī aañkh meñ 'muftī'
ehtirām-e-vafā nahīñ hotā
gham se jo aashna nahin hota
aadmi kaam ka nahin hota
aap ham-gam jab nahin hota
rasta rasta nahin hota
har kaman tir-zan nahin hoti
har nishana KHata nahin hota
yun to har shai bichhaD ke rahti hai
ek tera gham juda nahin hota
baat ka izn mil to jata hai
baat ka hausla nahin hota
husn walon ki aankh mein 'mufti'
ehtiram-e-wafa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.