gham se kis ne najat pai hai
ġham se kis ne najāt paa.ī hai
hans ke jī lo to kyā burā.ī hai
baat ye ab samajh meñ aa.ī hai
ḳhāmushī meñ baḌī bhalā.ī hai
ham haiñ raunaq baḌhāne vāloñ meñ
anjuman aap ne sajā.ī hai
zindagī duur duur hai aise
jaise apnī nahīñ parā.ī hai
āñdhiy.oñ ko koī ḳhabar kar de
ham ne ik sham.a phir jalā.ī hai
ab usī ko bhalā samajh lījiye
nsibatan jis meñ kam burā.ī hai
jab bhī ham se nazar milī hai 'na.īm'
maut sharmā ke muskurā.ī hai
gham se kis ne najat pai hai
hans ke ji lo to kya burai hai
baat ye ab samajh mein aai hai
KHamushi mein baDi bhalai hai
hum hain raunaq baDhane walon mein
anjuman aap ne sajai hai
zindagi dur dur hai aise
jaise apni nahin parai hai
aandhiyon ko koi KHabar kar de
hum ne ek shama phir jalai hai
ab usi ko bhala samajh lijiye
nsibatan jis mein kam burai hai
jab bhi hum se nazar mili hai 'naim'
maut sharma ke muskurai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.