gham se na-ahl-e-wafa hashr tak aazad na ho
ġham se nā-ahl-e-vafā hashr tak āzād na ho
mar ke sau baar ho zinda to kabhī shaad na ho
is nasheman meñ dharā kyā hai ki barbād na ho
chaar tinke hoñ paḌe aur koī buniyād na ho
kyā kahā thā tirī āñkhoñ ne nazar milte vaqt
phir nazar mujh se milā le jo tujhe yaad na ho
koī gāhak nahīñ murjhā.e hue phūloñ kā
kisī siine meñ ilāhī dil-e-nāshād na ho
ḳhush ho bulbul ki sazā-vār-e-asīrī Thahrī
vaa.e us par hai ki jis kā koī sayyād na ho
terī āñkhoñ kā jo maarā nahīñ zinda hī nahīñ
hai vahī ain ġhalat jis pe tirā saad na ho
sāmne aa ga.ī hai manzil-e-pā laġhz-e-firāq
madad ai ishq koī raah meñ uftād na ho
jo ġhubār uThtā hai kahtā hai ba-āvāz-e-buland
sar na is ḳhaak kā ūñchā ho jo barbād na ho
dil shikasta na ho TūTegā qafas ḳhud 'betāb'
vaqt kī baat hai mumkin nahīñ āzād na ho
gham se na-ahl-e-wafa hashr tak aazad na ho
mar ke sau bar ho zinda to kabhi shad na ho
is nasheman mein dhara kya hai ki barbaad na ho
chaar tinke hon paDe aur koi buniyaad na ho
kya kaha tha teri aankhon ne nazar milte waqt
phir nazar mujh se mila le jo tujhe yaad na ho
koi gahak nahin murjhae hue phulon ka
kisi sine mein ilahi dil-e-nashad na ho
KHush ho bulbul ki saza-war-e-asiri Thahri
wae us par hai ki jis ka koi sayyaad na ho
teri aankhon ka jo mara nahin zinda hi nahin
hai wahi ain ghalat jis pe tera sad na ho
samne aa gai hai manzil-e-pa laghz-e-firaq
madad ai ishq koi rah mein uftad na ho
jo ghubar uThta hai kahta hai ba-awaz-e-buland
sar na is KHak ka uncha ho jo barbaad na ho
dil shikasta na ho TuTega qafas KHud 'betab'
waqt ki baat hai mumkin nahin aazad na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.