gham se nibah kar ke jiye ja raha hun main
ġham se nibāh kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
ḳhud ko tabāh kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
rāh-e-vafā meñ apnī luTā kar matā-e-zīst
bas aah aah kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
mujh ko kahīñ farishta na baiTheñ samajh ye log
qasdan gunāh kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
āñgan tirā chamaktā damaktā rahe sadā
jīvan siyāh kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
zar zan zamīn ḳhushiyāñ haañ shohrat sukūn bhī
in sab kī chaah kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
'shā.im' vafā kā badla mujhe to nahīñ milā
duniyā gavāh kar ke jiye jā rahā huuñ maiñ
gham se nibah kar ke jiye ja raha hun main
KHud ko tabah kar ke jiye ja raha hun main
rah-e-wafa mein apni luTa kar mata-e-zist
bas aah aah kar ke jiye ja raha hun main
mujh ko kahin farishta na baiThen samajh ye log
qasdan gunah kar ke jiye ja raha hun main
aangan tera chamakta damakta rahe sada
jiwan siyah kar ke jiye ja raha hun main
zar zan zamin KHushiyan han shohrat sukun bhi
in sab ki chah kar ke jiye ja raha hun main
'shaim' wafa ka badla mujhe to nahin mila
duniya gawah kar ke jiye ja raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.