gham se yari phir dushwari KHamoshi
ġham se yaarī phir dushvārī ḳhāmoshī
yā'nī hoñToñ kī fankārī ḳhāmoshī
aisī shakleñ hijr se miltī-jultī haiñ
jin par taarī ik bīmārī ḳhāmoshī
'ishq se dīgar 'ishq ke aur do chehre haiñ
ek hijr hai ek tumhārī ḳhāmoshī
bansī par bichhḌan kī dhun se zāhir hai
vrindāvan kī āh-o-zārī ḳhāmoshī
laḌte-laḌte phir āñkhoñ se chhalak paḌī
āḳhir-kār hai aap se haarī ḳhāmoshī
gham se yari phir dushwari KHamoshi
ya'ni honTon ki fankari KHamoshi
aisi shaklen hijr se milti-julti hain
jin par tari ek bimari KHamoshi
'ishq se digar 'ishq ke aur do chehre hain
ek hijr hai ek tumhaari KHamoshi
bansi par bichhDan ki dhun se zahir hai
wrindawan ki aah-o-zari KHamoshi
laDte-laDte phir aankhon se chhalak paDi
aaKHir-kar hai aap se haari KHamoshi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.