gham tabassum mein jo Dhal jata hai
ġham tabassum meñ jo Dhal jaatā hai
ġham kā mafhūm badal jaatā hai
ham ne dekhā hai yahī har hāsid
apnī hī aag meñ jal jaatā hai
koī maqsad ho ravābit kā agar
rabt har ruḳh se badal jaatā hai
aur ho jaatā hai ehsās shadīd
naġhma jab dard meñ Dhal jaatā hai
zindagī kyā tire dīvāne kī
dāman-e-ġham meñ bhī pal jaatā hai
ab na farmā.iye tāḳhīr-e-karam
dekhiye vaqt nikal jaatā hai
us taraqqī ko salām ai 'aḳhtar'
jis meñ sab lutf-e-ġhazal jaatā hai
gham tabassum mein jo Dhal jata hai
gham ka mafhum badal jata hai
hum ne dekha hai yahi har hasid
apni hi aag mein jal jata hai
koi maqsad ho rawabit ka agar
rabt har ruKH se badal jata hai
aur ho jata hai ehsas shadid
naghma jab dard mein Dhal jata hai
zindagi kya tere diwane ki
daman-e-gham mein bhi pal jata hai
ab na farmaiye taKHir-e-karam
dekhiye waqt nikal jata hai
us taraqqi ko salam ai 'aKHtar'
jis mein sab lutf-e-ghazal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.