gham tera jaan se bhi pyara hai
ġham tirā jaan se bhī pyārā hai
be-kasī kā yahī sahārā hai
phir tirī multafit nigāhoñ ne
arz-e-ġham par mujhe ubhārā hai
kyoñ na māyūs ho dil-e-mahzūñ
bahr-e-ġham kā kahīñ kinārā hai
un se is tarah shikve kartā huuñ
jaise un par mirā ijārā hai
kuchh ḳhabar bhī hai dil ne kitnī baar
shab-e-ġham meñ tujhe pukārā hai
ta.ane sahnā paḌe tumhāre liye
varna zillat kise gavārā hai
dil-e-'sāhir' kā intiḳhāb na pūchh
husn ne baḌh ke haath maarā hai
gham tera jaan se bhi pyara hai
be-kasi ka yahi sahaara hai
phir teri multafit nigahon ne
arz-e-gham par mujhe ubhaara hai
kyon na mayus ho dil-e-mahzun
bahr-e-gham ka kahin kinara hai
un se is tarah shikwe karta hun
jaise un par mera ijara hai
kuchh KHabar bhi hai dil ne kitni bar
shab-e-gham mein tujhe pukara hai
tane sahna paDe tumhaare liye
warna zillat kise gawara hai
dil-e-'sahir' ka intiKHab na puchh
husn ne baDh ke hath mara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.