gham to ye bhi hai ki taqdir bhi roi barson
ġham to ye bhī hai ki taqdīr bhī roī barsoñ
haa.e vo zulf-e-girah-gīr bhī roī barsoñ
dil kisī sā.at-e-giryāñ kā navishta jis kī
huī tafsīr to tafsīr bhī roī barsoñ
āb-dīda bhī thā maiñ naqsh-ba-dīvār bhī thā
mujh ko dekho ki ye tasvīr bhī roī barsoñ
us ko bhī karnā paḌī dasht-navardī kyā kyā
paañv paḌ kar mire zanjīr bhī roī barsoñ
gham to ye bhi hai ki taqdir bhi roi barson
hae wo zulf-e-girah-gir bhi roi barson
dil kisi saat-e-giryan ka nawishta jis ki
hui tafsir to tafsir bhi roi barson
aab-dida bhi tha main naqsh-ba-diwar bhi tha
mujh ko dekho ki ye taswir bhi roi barson
us ko bhi karna paDi dasht-nawardi kya kya
panw paD kar mere zanjir bhi roi barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.