gham un ka chhupane ko ji chahta hai
ġham un kā chhupāne ko jī chāhtā hai
ye zahmat uThāne ko jī chāhtā hai
ye zabt-e-mohabbat kahāñ tak karūñ maiñ
sabhī kuchh jatāne ko jī chāhtā hai
jafā karne vāloñ ko kyā āzmānā
magar āzmāne ko jī chāhtā hai
taḳhayyul meñ mere vo aate haiñ lekin
ye duurī miTāne ko jī chāhtā hai
mujhe un se hai jo mohabbat ai 'bāsir'
unheñ dekh paane ko jī chāhtā hai
gham un ka chhupane ko ji chahta hai
ye zahmat uThane ko ji chahta hai
ye zabt-e-mohabbat kahan tak karun main
sabhi kuchh jatane ko ji chahta hai
jafa karne walon ko kya aazmana
magar aazmane ko ji chahta hai
taKHayyul mein mere wo aate hain lekin
ye duri miTane ko ji chahta hai
mujhe un se hai jo mohabbat ai 'basir'
unhen dekh pane ko ji chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.