gham us par aashkar kiya humne kya kiya
ġham us par āshkār kiyā ham ne kyā kiyā
ġhāfil ko hoshyār kiyā ham ne kyā kiyā
haañ haañ taḌap-taḌap ke guzārī tumhīñ ne raat
tum ne hī intizār kiyā ham ne kyā kiyā
itrā rahā hai naqd-e-mohabbat pe dil bahut
achchhe ko māl-dār kiyā hamm ne kyā kiyā
kahte haiñ vo shikāyat-e-bedād-o-jaur par
tujh ko ḳhudā ne ḳhvār kiyā ham ne kyā kiyā
nāseh bhī hai raqīb ye mā'lūm hī na thā
kis ko salāhkār kiyā ham ne kyā kiyā
rusvā kiyā jo dil ne to ab kah rahe haiñ 'dāġh'
dushman ko rāzdār kiyā ham ne kyā kiyā
gham us par aashkar kiya hum ne kya kiya
ghafil ko hoshyar kiya hum ne kya kiya
han han taDap-taDap ke guzari tumhin ne raat
tum ne hi intizar kiya hum ne kya kiya
itra raha hai naqd-e-mohabbat pe dil bahut
achchhe ko mal-dar kiya hamm ne kya kiya
kahte hain wo shikayat-e-bedad-o-jaur par
tujh ko KHuda ne KHwar kiya hum ne kya kiya
naseh bhi hai raqib ye ma'lum hi na tha
kis ko salahkar kiya hum ne kya kiya
ruswa kiya jo dil ne to ab kah rahe hain 'dagh'
dushman ko raazdar kiya hum ne kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.