gham utara gaya sabhi ke liye
ġham utārā gayā sabhī ke liye
ashk utre haiñ aadmī ke liye
ik tajallī mujhe 'ināyat ho
merī āñkhoñ kī raushnī ke liye
jī ke lagtā nahīñ munāsib hai
zindagī lafz zindagī ke liye
baar hotā rahā kisī ke sipurd
shukr kartā rahā kisī ke liye
maiñ ne had-darja koshisheñ kar liiñ
dil banā hī nahīñ ḳhushī ke liye
kuchh darinde bhī jaane jaate haiñ
apnī insān-dostī ke liye
sab nahīñ jānte ye vo dar hai
yuuñ to darvāza hai sabhī ke liye
us ne bādal haTā liye 'āmir'
chand lamhoñ kī chāñdnī ke liye
gham utara gaya sabhi ke liye
ashk utre hain aadmi ke liye
ek tajalli mujhe 'inayat ho
meri aankhon ki raushni ke liye
ji ke lagta nahin munasib hai
zindagi lafz zindagi ke liye
bar hota raha kisi ke sipurd
shukr karta raha kisi ke liye
main ne had-darja koshishen kar lin
dil bana hi nahin KHushi ke liye
kuchh darinde bhi jaane jate hain
apni insan-dosti ke liye
sab nahin jaante ye wo dar hai
yun to darwaza hai sabhi ke liye
us ne baadal haTa liye 'amir'
chand lamhon ki chandni ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.