gham uThane ke hain hazar tariq
ġham uThāne ke haiñ hazār tarīq
ki zamāne ke haiñ hazār tarīq
ġhair ke zikr par nahīñ mauqūf
jī jalāne ke haiñ hazār tarīq
mehrbānī kī ek raah to ho
gar satāne ke haiñ hazār tarīq
dil meñ aaya hazār raah se ġham
is Thikāne ke haiñ hazār tarīq
un ko sau-sau bahāne aate haiñ
har bahāne ke haiñ hazār tarīq
dī hai mai us ne ġhair ko jūThī
muñh lagāne ke haiñ hazār tarīq
'dāġh' ab fāqa-mast ban baiThe
maañg khāne ke haiñ hazār tarīq
gham uThane ke hain hazar tariq
ki zamane ke hain hazar tariq
ghair ke zikr par nahin mauquf
ji jalane ke hain hazar tariq
mehrbani ki ek rah to ho
gar satane ke hain hazar tariq
dil mein aaya hazar rah se gham
is Thikane ke hain hazar tariq
un ko sau-sau bahane aate hain
har bahane ke hain hazar tariq
di hai mai us ne ghair ko juThi
munh lagane ke hain hazar tariq
'dagh' ab faqa-mast ban baiThe
mang khane ke hain hazar tariq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.