gham uThate to baat ban jati
ġham uThāte to baat ban jaatī
choT khāte to baat ban jaatī
ham bhī kuchh duur rāh-e-ġham chal ke
lauT aate to baat ban jaatī
koī dastak sī de rahā thā raat
jaag jaate to baat ban jaatī
merī laġhzish pe ek din vo bhī
muskurāte to baat ban jaatī
aap aur ham tarāna-e-hastī
mil ke gaate to baat ban jaatī
un kī mahfil meñ ek din 'nāzim'
baar paate to baat ban jaatī
gham uThate to baat ban jati
choT khate to baat ban jati
hum bhi kuchh dur rah-e-gham chal ke
lauT aate to baat ban jati
koi dastak si de raha tha raat
jag jate to baat ban jati
meri laghzish pe ek din wo bhi
muskuraate to baat ban jati
aap aur hum tarana-e-hasti
mil ke gate to baat ban jati
un ki mahfil mein ek din 'nazim'
bar pate to baat ban jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.