gham yan to bika hua khaDa hai
ġham yaañ to bikā huā khaḌā hai
fidvī hai fidā huā khaḌā hai
hiltā nahīñ tere dar se ye ishq
muddat se milā huā khaḌā hai
ḳhūnīñ-kafan-e-shahīd-e-ulfat
dūlhā sā banā huā khaḌā hai
Tuk gosha-e-chashm idhar bhī koī
kone se lagā huā khaḌā hai
dāman kā hai gher gird-e-jānāñ
kyuuñ jī vo ghirā huā khaḌā hai
yuuñ dil ko baġhal meñ maiñ ne paalā
ye mujh pe pilā huā khaḌā hai
kyā samjhe namāz-e-ishq nāseh
qible se bharā huā khaḌā hai
mujre ko tumhāre abrūoñ ke
mehrāb jhukā huā khaḌā hai
mīzān nahīñ miltī merī us kī
ġhussa meñ pilā huā khaḌā hai
ghar se to nikal ki dar pe 'ehsān'
kyā ġham meñ ghirā huā khaḌā hai
palkoñ se girī hai ashk Tap Tap
paT se vo lagā huā khaḌā hai
gham yan to bika hua khaDa hai
fidwi hai fida hua khaDa hai
hilta nahin tere dar se ye ishq
muddat se mila hua khaDa hai
KHunin-kafan-e-shahid-e-ulfat
dulha sa bana hua khaDa hai
Tuk gosha-e-chashm idhar bhi koi
kone se laga hua khaDa hai
daman ka hai gher gird-e-jaanan
kyun ji wo ghira hua khaDa hai
yun dil ko baghal mein main ne pala
ye mujh pe pila hua khaDa hai
kya samjhe namaz-e-ishq naseh
qible se bhara hua khaDa hai
mujre ko tumhaare abruon ke
mehrab jhuka hua khaDa hai
mizan nahin milti meri us ki
ghussa mein pila hua khaDa hai
ghar se to nikal ki dar pe 'ehsan'
kya gham mein ghira hua khaDa hai
palkon se giri hai ashk Tap Tap
paT se wo laga hua khaDa hai
- Kulliyat-e-Ehsan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.