gham ye sara tere dil ke tah-KHane se niklega
ġham ye saarā tere dil ke tah-ḳhāne se niklegā
terī aañkh kā aañsū jab mere shāne se niklegā
merī saarī uljhan to hai tere uljhe bāloñ se
is mas.ale kā hal to zulfeñ suljhāne se niklegā
duniyā-dārī ke ḳhāne se nikleñge jab naam ka.ī
naam tumhārā sirf mohabbat ke ḳhāne se niklegā
nikal na pā.egā tujh se go kuchh bhī kar le chāra-gar
us kī shab kā kāñTā hai us ke aane se niklegā
ishq kā pahiyā ghūmegā lekin is baar kahānī meñ
rādhā gokul se aur mohan barsāne se niklegā
ek nayā āshiq hai us kā jaan chhiḌaktā hai us par
mujh ko Dar hai vo bhī ik din maiḳhāne se niklegā
mujh ko lagtā hai vo din bhī 'sāz' qayāmat kā hogā
jis din bhī us kā jhumkā mire sirhāne se niklegā
gham ye sara tere dil ke tah-KHane se niklega
teri aankh ka aansu jab mere shane se niklega
meri sari uljhan to hai tere uljhe baalon se
is masale ka hal to zulfen suljhane se niklega
duniya-dari ke KHane se niklenge jab nam kai
nam tumhaara sirf mohabbat ke KHane se niklega
nikal na paega tujh se go kuchh bhi kar le chaara-gar
us ki shab ka kanTa hai us ke aane se niklega
ishq ka pahiya ghumega lekin is bar kahani mein
radha gokul se aur mohan barsane se niklega
ek naya aashiq hai us ka jaan chhiDakta hai us par
mujh ko Dar hai wo bhi ek din maiKHane se niklega
mujh ko lagta hai wo din bhi 'saz' qayamat ka hoga
jis din bhi us ka jhumka mere sirhane se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.