gham-zada hum hain ye kahna chhoD do
ġham-zada ham haiñ ye kahnā chhoḌ do
yā hamāre saath rahnā chhoḌ do
chāhiye gar zindagānī kā maza
vaqt kī lahroñ meñ bahnā chhoḌ do
shak kareñge log ashkoñ par mire
is tarah āñkhoñ meñ rahnā chhoḌ do
zabt-e-ġham achchhī alāmat hai magar
phir bhī tanhā.ī meñ rahnā chhoḌ do
jitnī mil jaa.e ḳhushī lete raho
ġham agar mushkil hai sahnā chhoḌ do
dushmanoñ se kar lo samjhauta 'kiran'
dostoñ kā zulm sahnā chhoḌ do
gham-zada hum hain ye kahna chhoD do
ya hamare sath rahna chhoD do
chahiye gar zindagani ka maza
waqt ki lahron mein bahna chhoD do
shak karenge log ashkon par mere
is tarah aankhon mein rahna chhoD do
zabt-e-gham achchhi alamat hai magar
phir bhi tanhai mein rahna chhoD do
jitni mil jae KHushi lete raho
gham agar mushkil hai sahna chhoD do
dushmanon se kar lo samjhauta 'kiran'
doston ka zulm sahna chhoD do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.