gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin
ġham-zada maiñ bhī nahīñ aur ġhamīñ tū bhī nahīñ
ab to pāband-e-vafā maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
maiñ bhī uftāda-e-andāz-e-tamannā-e-hayāt
yā'nī doshīza-e-firdaus-e-barīñ tū bhī nahīñ
ai shafaq-ḳhezī-e-ijmāl-e-sahar sad-afsos
aks-e-tārīkī-e-shab-hā-e-hazīñ tū bhī nahīñ
maiñ ki ham-zād-e-nashīnān-e-harīm-e-ḳhasta
haa.e kāshāna-e-be-ḳhas kā makīñ tū bhī nahīñ
zīnat-e-sāya-e-dīvār-e-makāñ merā gumāñ
aur koī bhī nahīñ sāya-nashīñ tū bhī nahīñ
rūh-e-pazh-murda-e-taḳhayyul lab-o-mus.haf-e-nāz
is udāsī kā sabab mere ta.iiñ tū bhī nahīñ
fitrat-e-gardish-e-ālām-e-taġhayyur se varā
ḳhūgar-e-aish magar maiñ bhī nahīñ tū bhī nahīñ
gham-zada main bhi nahin aur ghamin tu bhi nahin
ab to paband-e-wafa main bhi nahin tu bhi nahin
main bhi uftada-e-andaz-e-tamanna-e-hayat
ya'ni doshiza-e-firdaus-e-barin tu bhi nahin
ai shafaq-KHezi-e-ijmal-e-sahar sad-afsos
aks-e-tariki-e-shab-ha-e-hazin tu bhi nahin
main ki ham-zad-e-nashinan-e-harim-e-KHasta
hae kashana-e-be-KHas ka makin tu bhi nahin
zinat-e-saya-e-diwar-e-makan mera guman
aur koi bhi nahin saya-nashin tu bhi nahin
ruh-e-pazh-murda-e-taKHayyul lab-o-mushaf-e-naz
is udasi ka sabab mere tain tu bhi nahin
fitrat-e-gardish-e-alam-e-taghayyur se wara
KHugar-e-aish magar main bhi nahin tu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.