gham-zadon mein tujhe maqbul banane wala
ġham-zadoñ meñ tujhe maqbūl banāne vaalā
jaane kis raah se aatā hai ye gaane vaalā
kuchh batāne ke ravādār nahīñ pahre-dār
aur ye shaḳhs nahīñ hosh meñ aane vaalā
parda-dārī na karo aise gunahgāroñ kī
ek bhī in meñ nahīñ zaḳhm chhupāne vaalā
baat kī baat meñ zālim ne kiyā qissa tamām
ham samajhte the koī baat banāne vaalā
sub.h tak duur bahut duur chalā jā.egā
āḳhir-e-shab tirī zanjīr hilāne vaalā
koī darvesh ḳhudā-mast nahīñ haiñ ham log
vo agar tujh se mohabbat hai jatāne vaalā
gham-zadon mein tujhe maqbul banane wala
jaane kis rah se aata hai ye gane wala
kuchh batane ke rawadar nahin pahre-dar
aur ye shaKHs nahin hosh mein aane wala
parda-dari na karo aise gunahgaron ki
ek bhi in mein nahin zaKHm chhupane wala
baat ki baat mein zalim ne kiya qissa tamam
hum samajhte the koi baat banane wala
subh tak dur bahut dur chala jaega
aaKHir-e-shab teri zanjir hilane wala
koi darwesh KHuda-mast nahin hain hum log
wo agar tujh se mohabbat hai jatane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.