gham zamane se chhupana hi paDa
ġham zamāne se chhupānā hī paḌā
rote rote muskurānā hī paḌā
dil ko dil se bhī bachānā hī paḌā
ye bhī ġham mujh ko uThānā hī paḌā
sāzishī tirchhī nazar thī kyā kaheñ
choT khā kar muskurānā hī paḌā
pī sabhī ne maiñ hī tishna thā magar
saath un ke laḌkhaḌānā hī paḌā
un kī rusvā.ī ne jab gherā mujhe
mujh ko un se duur jaanā hī paḌā
zindagī ko aur kab tak jheltā
maut se panjā laḌānā hī paḌā
āñsuoñ ne is tarah tartīb dī
ġham kā har qissa sunānā hī paḌā
intihā-e-ishq meñ khaa.e fareb
chaah kar bhī bhuul jaanā hī paḌā
tīrgī thī aur un kī yaad thī
dil ko aise meñ jalānā hī paḌā
hāl-e-dil un se chhupāte kab talak
raaz ulfat kā batānā hī paḌā
'svāmī' un kī zid ke aage jhuk ga.e
bijliyoñ par ghar banānā hī paḌā
gham zamane se chhupana hi paDa
rote rote muskurana hi paDa
dil ko dil se bhi bachana hi paDa
ye bhi gham mujh ko uThana hi paDa
sazishi tirchhi nazar thi kya kahen
choT kha kar muskurana hi paDa
pi sabhi ne main hi tishna tha magar
sath un ke laDkhaDana hi paDa
un ki ruswai ne jab ghera mujhe
mujh ko un se dur jaana hi paDa
zindagi ko aur kab tak jhelta
maut se panja laDana hi paDa
aansuon ne is tarah tartib di
gham ka har qissa sunana hi paDa
intiha-e-ishq mein khae fareb
chah kar bhi bhul jaana hi paDa
tirgi thi aur un ki yaad thi
dil ko aise mein jalana hi paDa
haal-e-dil un se chhupate kab talak
raaz ulfat ka batana hi paDa
'swami' un ki zid ke aage jhuk gae
bijliyon par ghar banana hi paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.