gham zaruri tha bahut aansu ke banne ke liye
ġham zarūrī thā bahut aañsū ke banñe ke liye
jabr bhī to chāhiye aañsū nikalne ke liye
ai charāġho yuuñ bhī hogā ye havā tum se Dare
dā.imī jalnā paḌegā shams banñe ke liye
jumbish-e-chashm-o-lab-o-ruḳhsār kī ra.anā.iyāñ
bas yahī kaafī hai un ko yaad rakhne ke liye
maiñ banā miTTī se huuñ aur ye to hai rang-e-bashar
maiñ simaTtā hī gayā phir se bikharne ke liye
panchhiyoñ ke beach meñ tum mat karo zikr-e-bashar
par nahīñ hai hausla buniyād uḌne ke liye
gham zaruri tha bahut aansu ke banne ke liye
jabr bhi to chahiye aansu nikalne ke liye
ai charagho yun bhi hoga ye hawa tum se Dare
daimi jalna paDega shams banne ke liye
jumbish-e-chashm-o-lab-o-ruKHsar ki ranaiyan
bas yahi kafi hai un ko yaad rakhne ke liye
main bana miTTi se hun aur ye to hai rang-e-bashar
main simaTta hi gaya phir se bikharne ke liye
panchhiyon ke beach mein tum mat karo zikr-e-bashar
par nahin hai hausla buniyaad uDne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.