ghamon ka zahr pina chahti hun
ġhamoñ kā zahr piinā chāhtī huuñ
maiñ kuchh din aur jiinā chāhtī huuñ
junūñ ko haal se fursat mile to
phaTe dāman ko siinā chāhtī huuñ
mire āñgan meñ chham-chham mor nāche
vo sāvan kā mahīna chāhtī huuñ
daraḳhshanda haiñ hāthoñ kī lakīreñ
kahā kis ne dafīna chāhtī huuñ
tire bin zindagī suunī hai merī
añgūThī meñ nagīna chāhtī huuñ
ghamon ka zahr pina chahti hun
main kuchh din aur jina chahti hun
junun ko haal se fursat mile to
phaTe daman ko sina chahti hun
mere aangan mein chham-chham mor nache
wo sawan ka mahina chahti hun
daraKHshanda hain hathon ki lakiren
kaha kis ne dafina chahti hun
tere bin zindagi suni hai meri
anguThi mein nagina chahti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.