Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghamon ke aaj baadal chha gae the

Rohit Gustakh

ghamon ke aaj baadal chha gae the

Rohit Gustakh

MORE BYRohit Gustakh

    ġhamoñ ke aaj bādal chhā ga.e the

    guloñ ke saath kāñTe aa ga.e the

    hamārī zindagī kaise sañvartī

    hameñ TuuTe sitāre bhā ga.e the

    bahāreñ ab Darātī haiñ shajar ko

    musāfir zulm itnā Dhā ga.e the

    virāsat ko bachāne ḳhushī meñ

    lahū piite rahe ġham khā ga.e the

    ghamon ke aaj baadal chha gae the

    gulon ke sath kanTe aa gae the

    hamari zindagi kaise sanwarti

    hamein TuTe sitare bha gae the

    bahaaren ab Daraati hain shajar ko

    musafir zulm itna Dha gae the

    wirasat ko bachane ki KHushi mein

    lahu pite rahe gham kha gae the

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now