ghamon ke phul sar-e-shaKH muskuraate hain
ġhamoñ ke phuul sar-e-shāḳh muskurāte haiñ
udāsiyoñ ke ye mausam kahāñ se aate haiñ
bichhaḌne vāloñ ko ilzām kyoñ diyā jaa.e
diloñ kā kyā hai binā baat TuuT jaate haiñ
tirā ḳhayāl jo badlā junūñ meñ hosh aayā
ye rāste to kahīñ aur le ke jaate haiñ
phir ek shaam tire sang ḳhud ko bhuul aa.e
sunāne vaale ka.ī dāstāñ sunāte haiñ
koī to saath chale manziloñ kā sukh dekhe
yahāñ to biich meñ hī log chhoḌ jaate haiñ
ye kaise ḳhauf hamāre diloñ se chimTe haiñ
ye kaise dil haiñ jinheñ vāhime satāte haiñ
Dhale haiñ qālib-e-īzā meñ is tarah ham log
ab apne ḳhud ke hī zaḳhmoñ se haz uThāte haiñ
baras ke yaad ke bādal hameñ jalāte haiñ
ye kaisī aag hai kaise ise bujhāte haiñ
haiñ vo bhī log jahāñ meñ kisī kā dukh ho ki saath
jo umr bhar kā ghaḌī bhar meñ bhuul jaate haiñ
vo jin ko ham nazar-andāz karte jaate haiñ
phir ek din unheñ maujūd dil meñ paate haiñ
koī batā.e ki jab saath ho nayā chehra
purāne chehre se kaise nazar milāte haiñ
bhare haiñ aise nazar meñ tire nuqūsh ke rang
koī bhī chehra ho ham tum ko DhūñD laate haiñ
hisār-e-shām meñ kuchh ajnabī se saa.e haiñ 'shams'
ḳhamoshiyoñ ke nagar meñ hameñ bulāte haiñ
ghamon ke phul sar-e-shaKH muskuraate hain
udasiyon ke ye mausam kahan se aate hain
bichhaDne walon ko ilzam kyon diya jae
dilon ka kya hai bina baat TuT jate hain
tera KHayal jo badla junun mein hosh aaya
ye raste to kahin aur le ke jate hain
phir ek sham tere sang KHud ko bhul aae
sunane wale kai dastan sunate hain
koi to sath chale manzilon ka sukh dekhe
yahan to bich mein hi log chhoD jate hain
ye kaise KHauf hamare dilon se chimTe hain
ye kaise dil hain jinhen wahime satate hain
Dhale hain qalib-e-iza mein is tarah hum log
ab apne KHud ke hi zaKHmon se haz uThate hain
baras ke yaad ke baadal hamein jalate hain
ye kaisi aag hai kaise ise bujhate hain
hain wo bhi log jahan mein kisi ka dukh ho ki sath
jo umr bhar ka ghaDi bhar mein bhul jate hain
wo jin ko hum nazar-andaz karte jate hain
phir ek din unhen maujud dil mein pate hain
koi batae ki jab sath ho naya chehra
purane chehre se kaise nazar milate hain
bhare hain aise nazar mein tere nuqush ke rang
koi bhi chehra ho hum tum ko DhunD late hain
hisar-e-sham mein kuchh ajnabi se sae hain 'shams'
KHamoshiyon ke nagar mein hamein bulate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.