ghamon ki bhiD dardon ki nigahbani mein rahna hai
ghamon ki bhiD dardon ki nigahbani mein rahna hai
Moni Gopal Tapish
MORE BYMoni Gopal Tapish
ġhamoñ kī bhiiḌ dardoñ kī nigahbānī meñ rahnā hai
batā ai zindagī kab tak pareshānī meñ rahnā hai
shajar kā ye muqaddar tai karegā bāġhbāñ sun lo
use sarsabz honā hai ki vīrānī meñ rahnā hai
maiñ apnā haq bhī māñgūñ to gunāhoñ meñ vo shāmil hai
tumhārā zulm kab tak yuuñ farāvānī meñ rahnā hai
vafāoñ kā sila kis ko milā kab kaun jaane hai
vafā ke zikr meñ ham ko to sultānī meñ rahnā hai
vo apne qaul se vāpas palaT jaa.e use haq hai
'tapish' ham ko to apnī baat ke paanī meñ rahnā hai
ghamon ki bhiD dardon ki nigahbani mein rahna hai
bata ai zindagi kab tak pareshani mein rahna hai
shajar ka ye muqaddar tai karega baghban sun lo
use sarsabz hona hai ki virani mein rahna hai
main apna haq bhi mangun to gunahon mein wo shamil hai
tumhaara zulm kab tak yun farawani mein rahna hai
wafaon ka sila kis ko mila kab kaun jaane hai
wafa ke zikr mein hum ko to sultani mein rahna hai
wo apne qaul se wapas palaT jae use haq hai
'tapish' hum ko to apni baat ke pani mein rahna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.